Tuesday, March 5, 2013

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim



Hadith : Nazar (mannat) kisi aisee cheez ko aadmee ke nazdeek nahi karti jo Allah subhanahu ne uski taqdeer mein na likhi ho

Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Nazar (mannat) maan-ney se inkaar kiya aur farmaya ki nazar ( mannat) kisi cheez ko nahi rokti, Nazar sirf Bakhil (Kanjus) ke pass se maal (paisa) nikalti hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6608

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ( Allah Subahanhu farmata hai) Nazar (Mannat) insaan ko aisee koi cheez nahi deti jo mainey uski Taqdeer mein na likhi ho, bulki wo taqdeer hi deti hai jo mainey uskey liye Muqarrar kar di hai, main uskey (mannat ke) zariye Bakhil (kanjus) ka maal nikalwa leta hu
Sahih Bukhari, Vol 8, 6609

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne mana farmaya hai Nazar se ( Yani Mannat se ) farmaya nazar (mannat) kisi aisee cheez ko aadmee ke nazdeek nahi karti jo Allah subhanahu ne uski taqdeer mein na likhi ho, lekin agar Nazar taqdeer ke muwafiq hoti hai to bakhil ke pass se wo maal nikalta hai jisko wo nikalna nahi chahta tha
Sahih Muslim, Vol 4, 4242, 4243

Anas and Abu Hurairah Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne ek budhey ko dekha jo apney dono beton ke beech mein tek lagaye(sahara liye) chal raha tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya isko kya hua hai uskey beton ne kaha ki isney nazar ( mannat) li hai (Paidal hajj par janey ki) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya eh budhey Sawari par baith ja kyunki Allah subhanahu mohtaj nahi hai tera aur teri Nazar(mannat) ka
Sahih Muslim, Vol 4, 4247,4248

Tashreeh (Explanation) as per Sahih Bukhari:

Aksar log yu to Allah ki raah mein paisa kharch nahi kartey jab koi Museebat aa jati hai to us Waqt tarah tarah ki mannatein mantey hain , magar nazar aur mannat man ney se Taqdeer nahi palat sakti hota wohi hai jo Taqdeer mein hai . Aap Sallallahu Alalihi Wasallam ne aisee nazar se mana farmaya jismein banda ye sochey ki meri is nazar se bala tal jayegi ,lekin Agar koi ye sochkar Nazar maney ki jo Allah ne kismat mein likh diya hai wohi hoga to aisee nazar mana nahi jaisey ki Nawafil Roza, Nawafil Namaz etc. aur iska pura karna Wajib hai.

jaisy ki Imran Alaihi salam ki biwi ne nazar mani thi ki jo mere pet mein bachcha hai main usey duniya ke kaamo se aazad karkey teri nazar kar dungi
Al Quran : Jab Imran Alaihi salam ki biwi na kaha ki Ek RAB jo (bachcha) mere pet mein hai main usko teri nazar karti hu usey duniya ke kaamon se aazad rakhungi- Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35

Maryam radi Allahu anha ko Allah subahnahu ne hukm diya ki “Agar tum kisi aadmi ko dekho to kahna ki mainey Allah ke liye rozey ki mannat mani hai”
Surah Maryam (19) , Verse 26

Aur ek dusri jagah Allah ne neik logon ki taarif mein ye farmaya hai ki Wo (neik log) Apni mannatein puri kartey hain aur us ( Qayamat ke) din se dartey hain jiski museebat har jagah phaili huyee hogi
Al Quran : Al-Insan (76), Verse 7

---------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ibn 'Umar Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam forbade vowing and said, "In fact, vowing does not prevent anything, but it makes a miser to spend his property."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 605:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said (that Allah said), "Vowing does not bring to the son of Adam anything I have not already written in his fate, but vowing is imposed on him by way of fore ordainment. Through vowing I make a miser spend of his wealth."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 606:

Abu Huraira reported Allah's Messenger (may peace be upon him) forbidding taking of vows, and said The vow does not bring anything near to the son of Adam which Allah has not ordained for him, but (at times) the vow coincides with Destiny, and this is how something is extracted from the miserly person, which that miser was not willing to give.
Sahih Muslim, Book 14, 4024,4025

Anas bin Malik and Abu Huraira Radi Allahu Anhuma reported: Allah's Apostle (may peace be upon him) found an old man walking between his two sons supported by them, whereupon Allah's Apostle (may peace be upon him) said: What is the matter with him? They said: He had taken the vow to walk (on foot to the Ka'ba). whereupon Allah's Apostle (may peace be upon him) said: Ride, old man, for Allah is not in need of you and your vow.

Sahih Muslim, Book 014, Number ,4029,4030

Tashreeh (Explanation) as per Sahih Bukhari:

Most of the people dont spend money in Allah's way but whenever any problems occur they start various kinds of vowing , but vowing does not prevent anything, What Allah has written in our destiny it must happen. if somebody vow by thinking that Whatever in our destiny it must happen then these kind of vow is allowed like Nawafil fast, Nawafil prayers etc and it must be fulfilled for example The wife of the Imran took vow for Allah that

Al Quran : (Remember) when the wife of 'Imran said: "O my Lord! I have vowed to You what (the child that) is in my womb to be dedicated for Your services
Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35

and also on one verse Allah says to Maryam radi allahu anha

“And if you see any human being, say: Verily! I have vowed a fast unto the Most Gracious (Allah)”
Surah Maryam (19) , Verse 26

in Quran Allah says those are the pious believers who fulfill their vows
They (pious believers are those who) fulfil (their) vows, and they fear a Day whose evil will be wide-spreading.
Al Quran : Al-Insan (76), Verse 7

No comments:

Post a Comment