Sunday, April 8, 2012

riwayat


Hazrat Abu Hurairah (RaziALLHU Anhu) se riwayat hai ki RasulALLAH (Sal'lal'lahu Alaihe Wasalllam) ne irshaad farmaya :
Kaun hai jo mujhse ye baaten seekhe, Phir un par amal kare ya un logo ko sikhaye jo un par amal kare ?

Hazrat Abu Hurairah (RaziALLHU Anhu) farmate hain ki, Maine Arz Kiya :"Ya RasulALLAH ! Main Tayyar hoon.
Aap (Sal'lal'lahu Alaihe Wasalllam) ne (Mohabbat ki wajah se) mera haath apne mubarak haath main le liya aur gin kar ye paanch (5) baaten irshaad farmayin,

(1) HARAAM se bacho ! tum sabse bade ibadat guzaar ban jaoge.
(2) ALLAH TA ALA ne jo kuch tumhe diya hai us par raazi raho tum sabse bade ghani ban jaoge.
(3) Apne padosi k saath acha sulook karo tum momin ban jaoge.
(4) Jo apne liye pasand karte ho wahi dusro k liye bhi pasand karo, Tum (kaamil) Musalmaan ban jaoge.
(5) Zyada hansa na karo, Kyunki Zyada hansna dil ko murda kar deta hai. [Tirmizi :2305]
.

No comments:

Post a Comment