Monday, May 20, 2013

KHUSHBOO

"'Ittr ki, Oud ki, Ambar ki, Sàmàn ki khushboo,
Sab se behtar hai magar uss ke badan ki khushboo;

Koi mausam ho, Havaa leke chali aati hai,
Door pardes mein bhi Khaak-e-Vatan ki khushboo,

Chànd lamhaat mein kar deti hai subàhein raushan,
Naat ki, 'Hamd ki, Pooja ki, Bhajan ki khushboo;

Ab to reh-reh ke jali laasho.n ki boo aati hai,
Pehle aisi to na thi mere chaman ki khushboo;

Iss ke har lafz mein sau phoolo.n ki shaamil hai mehek,
Shayari apni hai Urdu ke dahan ki khushboo;

Jab kabhi Gaur-e-Ghareebaa.n se guzar mera hua,
Mujh ko mehsoos hui apney kafan ki khushboo;

Chandni raat, Fizaa sard, Havaa ke jhonké,
Haaye woh tootey jismo.n ki thakan ki khushboo;

Uss ne jab meri taraf ghaur se dekha 'Manzoor',
Bazm mein phaili raqeebaana jalan ki khushboo."

No comments:

Post a Comment