.
zina badtar gunah hai ¤
* zina : ek mard ek iisi aurat se sohbat kare jisse nikah na huva ho
wo zina hai.
* quran : aur zina ke paas na jao beshaq wo behayayi hai aur buri raah hai.
* nikah : ihzabo qubul yani ek kahe ki maine apne aap ko teri joziyat me diya aur dusra kahe ki maine qubul kiya ise nikah kehte hai.
(Bahare Shariyat)
* Huzoor sallallaho alayhi wsallam farmate hai ki jo aurat apne aapko na'mahram mard ki nazar se bachayegi to dozakh ki aag usko na jalayegi.
(Tanbiyatul Ghafileen)
* mas'ala : aurat baliga aqila ka nikah bagair uski ijazat ke koi nahi kar sakta na uska baap aur na hi baadshahe islam.
(Qanune Shariyat)
* Imaan ke aitbar se sabse kamil wo shakhs hai jo akhlaq me sabse achcha aur apni biwi ke huq me sabse zyada naram dil ho.
(Tirmizi)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki aurat par sab aadmiyo se zayada huq uske shohar ka hai aur mard par uski Maa ka.
(Haakim)
* jo aurat gair mard par apni zeenat zaahir karne ke liye daman ghasite hue chalegi to qayamat ke din wo noor se mehrum aur andhere me hogi.
(Tirmizi : jild-2, page-1175)
* aye jawan logo tum me se jo istita'at rakhe wo nikah kare is liye ki nikah aankho ko niche karta hai aur sharamgah ko bachata hai.
(Muslim)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki jo aurat be zarurat apne khawind se talaq maange us par jannat ki khusboo haram hai.
(Tirmizi : jild-2, page-402,
hadees-1191)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki halaal kamo me ALLAH ko bahot na'pasand kaam talaq hai.
(Mishkat)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam ne farmaya : sabse bura insan wo hai jo apni biwi ko sataye.
(Tabrani Sharif)
* shadi karne me maal wa daulat, husn wa jamaal aur hasab wa nasab ko tarji na do balke deendar aurat se shadi kar ke kamyab ho jao.
(Bukhari : hadees-5090)
* saleh(nek) ghod me palne wali se nikah karo kyu ki aurat ki rag me (Maa Baap ki fitrat ka) dakhal hota hai.
(Ibne Maja)
* Gause Paak rehmatullahi alayhi farmate hai ki nikah jumerat ya juma ko karna mustahab hai aur subah ki bajaay sham ke waqt nikah karna afzal aur behtar hai.
* baleeg kuwari ladki se uske nikah ki ijazat li jaye agar wo khamosh ho jaye to ye uski taraf se ijazat hai aur inkar kare to uspe zabar dasti nahi hai.
(Tirmizi)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam ne farmaya ki ba'arkat nikaah yani shadi wo hai jo kam se kam kharch me ho.
(Mishkat)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki duniya aur aurat se bacho kyu ki bani israil me sabse pehla fitna aurat ki wajah se huwa tha.
(Sahih Muslim : page-1465, hadees-2742)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki ALLAH us aurat ko pasand farmata hai jo apne shohar se mohabbat karti hai aur shohar ki farma bardari karti hai.
(Ibne Maja)
* mas'ala : ye yaqin ho ki nikah na karne me zina waqey ho jayega to us sakhs par farz hai ki nikah kare.
(Durre Mukhtar)
* Hazrat Imam Ghazali :.jisne kisi gair shadi shuda aurat ka bosa liya goya usne 70 kunwari ladkiyo se zina kiya aur jisne kisi kunwari ladki.se zina kiya to goya usne 70 hazaar.shadi shuda aurato se zina kiya.
(Mukaashifatul Quloob)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki aye logo apni aurto ko singarwala libas pahenkar gair mahramo ke samne nikalne se mana karo.
(Ibne Maja)
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki jisne nikah kiya usne apne aadhe deen ko hifazat me le liya.
(Kimiyae sa'dat)
* jo itna maal rakhta ho ke nikah kar sake aur fir wo nikah na kare wo hum me se nahi.
(Bahare shariat)
* mas'ala : musalman aurat ka nikah musalman mard ke siwa kisi bhi mazhabwale se nahi ho sakta.
(Qanoone Shariyat)
* kafira aurat se bhi zina haram hai chahe wo raazi hi kyun na ho aur iske jaiz hone ka qaayal kafir hai.
(Fatawa e Razwiya : jild-5, page-980)
* jab ek gair mard aur gair aurat ek dusre Ko dekhte hai to dono ki aankhe zina karti hai.
(Kashful Mahjoob)
lihaza bad nigahi se bacho.
* Huzoor sallallaho alayhi wasallam farmate hai ki mardo ki tarah shaql surat ikhtiyar karne wali aurte jannat me nahi jayegi.
(Nisai)
aise libas pahen ne wali aurte jara sochiye.
* Hazrat Ali radiallahu anhu ka qaul : aurat ka 1 baal agar kisi na mahram ko nazar aa jaye to 1000 farishte 1 baal ke badle us aurat par lanat karte hai.
* jo aurat khushbu laga kar gairo ke paas se guzri take log uski khushbu mehsus kare to aisi aurat badkarah, zaniya hai.
(Masnad Imam Ahmad)
No comments:
Post a Comment