Friday, May 10, 2013

* SUHAG RAAT ke aadab ¤


SHADI KI PEHLI RAAT...!!!

* SUHAG RAAT ke aadab ¤

jab dulha dulhan ke kamre me jaye to sabse pehle salam kare aur tanhai ho to behtar ye hai ki sabse pehle dulha dulhan wuzoo karle aur fir 2 rakat nafil namaz shukrana padhe.

namaz ki niyat : niyat ki maine 2 rakat namaz nafil shukrane ki waste ALLAH ta'ala ke rukh mera kaaba sharif ke taraf Allaho Akbar.

fir humesha jaise namaz padhte ho waise
hi namaz padhe aur is tarah duwa kare
aye ALLAH tera shukra aur ehsan hai ki tune hume ye din dikhaya aur hume is khushi wa ne'amat se nawaza aur hume apne HABIB sallallaho alayhi wasallam ki sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi.
aye Allah humari is khushi ko humesha isi tarah kayam rakh. hume mel-milap pyar muhabbat ke sath zindagi gujarne ki taufiq ata farma.
ae Rabbe Qadir hume nek farmabardar aulad ata farma. AAMIN

(Gunyatuttalebi -n : jild-5,page-115 -)

Hazrat Abdullah ibne Masud radiallahu ta'ala anhu farmate hai : ek shaks ne bayan kiya ki maine ek jawan ladki se nikah kar liya hai aur muje dar hai ki wo muje pasand nahi karegi.
Hazrat Abdullah bin Masud ne farmaya : mohabbat Allah ki taraf se hoti hai aur nafrat shaitan ki taraf se.
jab tum biwi ke paas jao to sabse pehle use kaho ki woh tumhare piche 2 rakat namaz padhe.
(Gunyatuttalebi -n : jild-5,page-115 -)

namaz aur fir uske bad duwa padh lene ke bad dulha dulhan palang par sukun se baith jaye fir uske bad dulha apni dulhan ki peshani ke thode baal apne sidhe hath me narmi ke sath mohabbat bhare andaz me pakade aur ye duwa padhe :

Hazrat Amra bin Aas radiallahu anhu se riwayat hai ke Sarkare Madina sallallaho alayhi wasallam ne irshad farmaya : jab koi shaks nikah kare aur pehli raat (suhag raat) ko apni dulhan ke paas jaye to narmi ke sath uski peshani ke thode se baal apne sidhe hath me le kar yah duwa padhe : Allahumma inni as aluka min khaireh wa khairem jabalth alayhi wa auzoo beka min sharreh wa sharrem jabalth alayhi.

tarjuma : aye Allah me tujse iski (apni biwi ki) bhalai aur khairo barkat mangta hu aur uski fitari aadato ki bhalai aur teri panah chahta hu iski burai aur fitari aadato ki burai se.

(Abu Dawood : jild-2,page-150 -,
Hasne Hasin : page-164)

** ek badi galatfehmi **
kuch logo ka khayal hai ki jab aurat se pehli bar sohbat ki jaye to uski sharmgah se khoon kharij hona zaruri hai
ye khoon ka aana uske ba-ajmat pakdaman hone ka suboot samJHa jata hai. agar khoon nahi aaya to aurat badchalan aawara samjhi jati hai aur aurat ki sharafat aur ba-ajmat hone me shak kiya jata hai.
aaiye is masle ke bare me hum jante hai. kuwari ladkiyo ki sharmgah me thoda andar ek patali zilli hoti hai jisse parda-e-azmat ya parda-e-bakarat -(hymen) kehte hai. iss zilli me chota sa surakh hota hai jiske zariye ladki ke balig hone par haiz (mahwari) ka khoon apne waqt par khariz hota rehta hai.
shadi ke bad jab mard pehli bar us ladki se sohbat karta hai to mard ke uzoo-e-tanasul ke uske takarane ki wajah se wo zilli fat jati hai. iss mauke par aurat ko thodi taklif hoti hai aur thoda sa khoon kharij hota hai fir yah zilli humesha ke liye khatam ho jati hai.
lekin ye zilli patli aur nazuk hoti hai to kahi martaba kisi ladaki ko ye kisi mamuli chot ya kisi hadse ki wajah se ya kabhi khud ba khud fat jati hai. lihaza agar aurat se sohbat ke dauran khoon na nikale to use aawara samajhna munasib na hoga jab tak ki mukammal sharai suboot na ho.

jiska parda-e-ajmat kudne,haiz aane ya zakhm ya umar zyada hone ki wajah se fat jaye wo aurat hakikat me bakirah (kuwari, pak daman) hai.

(Tanwirul Absar ; Fatwa-e-Razviya -: jild-12, page-36)

No comments:

Post a Comment